recent posts

banner image

Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon


















Agar'chay mein ik chattaan sa aadmi raha hoon
Magar teray baad hosla hai keh jee raha hoon

Woh raiza raiza meray badan men utar raha hai
Mein qatra qatra uski aankhon ko pii raha hoon

Teri hatheli pay kis nay likha hai qatal mera
Mujhay to lagta hai mein tera dost bhi raha hoon

Khuli hain aankhen magar badan hai tamaam pathar
Koi bataaye mein mar chuka hoon keh jee raha hoon

Kahaan milay gi misaal meri sitam'gari ki
Keh mein gulaabon kay zakhm kaanton say sii raha hoon

Na pooch mujh say keh shehar waalon ka haal kaya tha
Keh mein to khud apnay ghar men do gharri raha hoon

Mila to beetay dino'n ka sach uski aankhon men tha
Woh aashna jis say muddaton ajnabi raha hoon

Bhula day mujh ko keh be'wafaaii bja hai lekin
Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon

Woh ajnabi ban kay ab milay bhi to kaya hai Mohsin
Yeh naaz kam hai keh mein bhi kabhi us ka raha hoon

Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon Reviewed by Unknown on August 31, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.